• I Paid A Bribe
  • 14 years ago
  • 1835 views

Pasport virification ********** bribe diye nahi hota hai.

Reported on December 10, 2010 from Nalanda , Bihar  ι Report #29300

Main apne parivar ke 3 member ke passport ke liye aply kiya tha. jiska verification laheri police station bihar sharif se hona tha. ek din ek aadmi (wo police wale ka agent tha)aya aur bola aapka verification ke liye paper aayen hain. aur aapko apna voter id, minuspalty house tax paper, rition card etc. paper dene hain.maine kuch dino ke baad wo sare papers use dikhae tab usne bataya ki per head 1500 rupye lagange. jab maine puchcha ki paise kyon lagenge jabki maine saare paper de diye hai,to usne kaha ki agar aap paise nahi denge to sub ispector (daroga) kisi bhi paper par objection laga kar bhej dega aur use hi sahi mana jaayega. aapko dobaara passport ke liye aply ********** padega aur phir verification ke liye paper isi police staion me ayega. kyon chakkar me padte hai. le dekar mamla suljha ligiye. aakhir mujhe daroga ko paise dene pade bahut kahne per usne per head 1200 rupye yani 3600 rupye le kar hi papers ko aage badaya.

What is your reaction after reading this report?